Sunday, March 29, 2015

Maa to Maa hi hoti hain

Aaj mera maan Maa ke baare main kuch likhne ko karne laga. Main yahi soch raha hu ki Maa ke baare main kya likhu or kaha se suruvat karu. kaafi logo ne maa ke baare main likha hain, mujhe nahi pata ki unhone kaise suruvat ki hogi likhne ki. Mujhe samajh nahi aa raha hu ki main starting kaise karu, phir bhi koshish karta hu ki ek acha start karne ki. Maa ke baare main sab kuch to nhi likh sakte kyuki jitna likhenge utna kum padh jayega, kyuki kisi ne sahi kaha hain ki "Maa to Maa hi hoti hain".


Maa means Mamta hoti hain ya ye bhi keh sakte ho ki Maa ka doosra naam mamta hain. Wo prem, vishwas, daya or mamta in sabse bhari hain. Maa hamare liye jagat janni hoti hain. Maa hame sirf ek roop main hi nahi balki aanek roopo main mil jati hain, Maa sirf wo hi nahi hoti jisne hame janam diya hain. Maa wo bhi hoti hain jo hamara palan poshan karti hain, chahe wo hamari apni Maa ho ya Dayi Maa. Kehte hain ki bhagwan har jagah nahi pahuch sakte hain, wo har samay apne bhakton ke pass tak nahi pahuch sakte hain. Isiliye unhone unke pass Maa ko bheja hain. Unhone wo saara gyan Maa ko diya hain jo wo apne bhakton tak pahuchana chahate hain.

Maa hamare liye dhup main chaon hoti hain, Maa hamare liye prena hoti hain, Maa hamari maargdarshak bhi hoti hain. Maa se badhkar duniya main koi bhi nahi hota hain. Iska ek live example bhi hain, jab koi bachha duniya main aata hain to wo sabse pehla shabd Maa hi bolta hain. Us bachhe ko us samay duniya ka koi gyan nahi hota hain tab uske muh se niklane wala pehla shabd Maa hi hota hain. Kehte hain ki bachhe bhi bhagwan ka roop hote hain or Maa bhi. Maa sirf wo hi nahi jisne hame janam diya ya jisne hame pala posha hain. Hamare liye to ye duniya bhi Maa Hain, hum apni country ko Maa keh kar bulate hain, hamre liye hamari dharti bhi Maa hain, hamare liye bhagwan (devi) bhi Maa hain or yaha tak ki hum gaay (Cow) ko bhi Gomata bolte hain. gyan jis roop main bhi lelena chahiye, kyuki har gyan ke peeche Maa hi hoti hain.

Maa hi to hain jo hamare jannam ke samaye se hi hamare saath rehti hain, jab hum bol bhi nahi paate tab bhi wo hamari baat samajh leti hain. Wo hamare liye raaton ko bhi jaag jati hain. Wo us samaye hamari zarooraton ko pura karti hain, jis samaye hum kuch bol nahi sakte. Wo khud pareshani jhelti hain but hame takleef nahi deti hain. Maa hame sahi or galat ka matlab samjhati hain, hum unki antar aatma se judhe hote hain. Wo apne haaton se khana khilati hain, uske khaane main bahut saara pyaar hota hain. Jo swad Maa ke khane  main or kahi kisi or khane main nahi hain. Duniya main aap kahi bhi khana kha lo wo khana aapka peth to bhar sakta hain but aapka maan nahi. jo santosh Maa ke haath ka khane khane main milta hain, wo kahi or nahi milta hain.

Hum log jab bade hone lagte hain tab hame lagne lagta hain ki hum apni Maa se jyada jaanne lage hain, unhe utna nahi pata jitna hame pata hain, magar such to ye hain ki hum chahe jitne bhi bade ho jaye wo humse hamesha ek kadam aage hi hoti hain. Mere saath bhi kuch aisa hi hua tab mujhe Maa ka asli matlab samjh aaya. Ek din mere saamne ek problem aa gayi, jiske liye mujhe apne office se jaldi jaana padha, maine us samaye apni Maa ko apni problem ke baare main nahi bataya. Maa ke alawa maine ghar ke baaki logo se us problem ko discuss karta raha. Main itni jaldi main nikla tha ki kuch khaa bhi nahi paaya, or is beech ghar walo se baat karta raha, Jab main ghar walo se apni problem discuss kar raha tha tab hum sab problem main itna busy ho gaye ki kisi ko nahi pata tha ki maine kuch khaya hain ya nahi, or maine bhi yahi soch ki ab office pahuch ke hi kuch kha lunga. Tab tak Maa ko pata lag gaya tha main kuch kaam se office se bhahar gaya tha. Jab main apne office jaa raha tha tab Maa ka phone aaya, us samay unhone jo kaha wo sun kar meri aankho se aansu nikal gaye the. Unhone jab phone kiya tab unhone sabse pehle jo pucha wo ye the:

"Beta office pahuch gaya? Tune kuch khaya hain ya nahi, agar kuch nahi khaya to pehle office jaake kuch kha lena."

Ye hoti hain Maa, jo apne baccho ke pass na hokar bhi unki saari khabar rakhti hain, jaise hi Maa ko pata chala, turant unhone phone karke pucha, kyuki wo jaanti hain ki unke bete ne khana khaya hain ya nahi. Pata nahi unhone kitni baar jab maine sararat ki hogi tab mujhe khana khilaya hoga. Jab main bina khana khaye so gaya hounga, tab unhone khana khaya hoga ya nahi, ya jab ghar main kahana kam reh gaya hoga, tab bhi unhone pehle mujhe hi kahana khilaya hoga. Maine kabhi in sab cheejo pe dhyan nahi diya, lekin us din Maa ke in shabdo ne mujhe andar se hila diya.

Wo Maa hi to hoti hain jo apne bachhe ke liye har samay uske mangal ki kaamna karti rehti hain, chahe wo beta use wo samman de ya na de, per wo kabhi apne bete ka bura nahi chahati hain. Wo Maa hi hain jo hame hamesha aage badhne ka maarg dikhati hain, hum agar pareshan hote hain tab wo hame samjhati hain or sab acha ho jayega aisa keh ke man ko saant karati hain. Wo Maa hi to hoti hain jab hum baarish main bheeg kar aaten hain tab hamare sar pe tawal rakh kar hamare sar ko ponchti hain, jab hum office se ghar pahuchten hain tab hame kuch na kuch khane ko deti hain. Maa hi to hain jo hamara hamse jyada dhyan rakhti hain. Hame hamesha Maa ki respect karni chaiye.

Maa ko khush rakhna hi hamara kartawya hona chaiye, kyuki Maa hamare saath hain tab hum koi bhi pareshani ka saamna kar sakte hain, kyuki maa bhagwan ka hi ek roop hain. Maa saath hain to samajh lijiye ki bhagwan aapke saath hain. Mata or Pita hi aapke liye sab kuch hain. Unka samman hi bhagwan ka samman karna hain.



                              "Always respect and love your parents"