Sunday, February 15, 2015

Zindagi Ek Roop Anek

Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi
kya tu mujhe aasman me pahunchayegi
ya phir tu mujhe zameen me baithayegi
kya tu mujhe toofan se ladwayegi
ya laharon ke saath kinare tak pahunchayegi
tu hi bata zindagi kaise meri nauka ko paar lagayegi


Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi
kya tu aasmaan se girti hui barf se meri murti banayegi
ya phir tu mujhe aag ke dhuen ke saath hawa me ghumayegi
kahin tu mujhe baadlo ke saath to nahi bhej degi
jo kahin door jaakar baarish ke saath mujhe bhi gira denge
tu aisa kuch to nahi karegi mere saath ae zindagi


Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi
kaise tu mere aansuo ke samander ko rok payegi
kaise tu mere dil ke gamo ko nikaal payegi
kaise tu mere dil me khushi ko bhar payegi
kya tu koi hasee ka khilona dil me rakh jayegi
tu hi bata zindagi kaise mujhe khush rakh payegi


Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi
meri zindagi ke andhere me roshni kaise layegi
kya tu mujhe suraj chacha ke pass le kar jayegi
ya phir mujhe chanda maama ke paas chodh aayegi
ya phir mujhe taaron ke saath khelna sekhayegi
kaise tu meri zindagi me roshani ka ujaala jagayegi


Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi
tu apno or paraayon me kaise fark karayegi
kaise tu apno pe vishwas karna sekhayegi
kaise tu mujhe paraayon se door kar paayegi
apne to apne hote hain ye kaise bata paayegi
tu kis tarah mujhe logo ki pehchan karayegi


Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi
main jab bhi apni zindagi ki kitab likhne baithunga
tab tu kaise us kitab ko padhne layak banayegi
meri zindagi ke gamo me khushiyon ko kaise jodegi
kaise tu zindagi ke har chaptar ko hassen banayegi
tu hi bata kaise tu meri zindagi ko badal paayegi


Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi
Ae Zindagi tu mujhe kitne roop dikhayegi

Monday, February 2, 2015

Be Simple Be Cool

 Saadgi ek aaine ki tarah hoti hain,
Jo insaan ki achhayi or burayi batati hain,
Fashion ek dikhawe ki tarah hota hain,
Jo insaan ke chhal or kapat ko dikhata hain.